Thursday, September 26, 2013

Zindagi me har raah ke hamsafar nhi milte...
kabhi kadam nhi milte to kabhi mukaddar nhi milte... 
Pyas ko seene me dabaye ghoomte ho tum bhi... 
Tumhe pyale nhi milte Hame saagar nhi milte...
Jawab dete Tere har sawal ka bade naaz-o-adaa se ham... 
Tum itni tavazzo dene layak to hote... 
In khamoshiyo ne Tumhe izzat bakhsh Di hai... 
Jo keh dete daastan to tum pani Ho gye hote...
Tere har lafz me ankaha ek arth sunayi deta hai... 
Teri hasi me daba ek dard dikhayi deta hai... 
Kaise keh du ke tu juda hai mujhse... 
Dil to mera hai par tere hone ki gawahi deta hai.
Kisi sham aaine me apna nhi tera aks dikhega, 
us roz har baat me tera hi zikr hoga, 
Teri aankho me jaane kya kya padhte rahe hai ham, 
Jo keh doge labo se us lamhe ye afsaana mukammal hoga.

Friendship Day Special

Garm dhoop me thandi chhaon sa...
Bachpan ke bhule bisre gaaon sa... 
Kuchh khatta meetha kabhi khamosh parchhayi sa... 
Kaano me goojti meethi shehnayi sa... 
Ye rishta hamne dil se banaya hai... 
Dosti ka nam diya Aur har saans me nibhaya hai ...

Wednesday, September 18, 2013

Milne ki hamse koi wajah to rahi hogi... 
Yu to jaane kitne chehre dekhte ho tum rozana...
Meri deewangi ki inteha na puchho,
tu nhi samjhega jaan k bhi tujhse pyar kiya, 
tu nhi aayega jaan k bhi tera intzar kiya, 
tu dur Ho jayega jaan k bhi kuch kuch iqrar kiya, 
Ab kaun jaane Meri khata hai ya Teri, 
Ab khuda hi jaane is fasle ne Jo tujhe kabhi beqarar kiya...
Us khuda ke pas kya chehra le ke jaoge, Uske bando ka dil dukha k chain kaha paoge, 
Dua koi bhi asar na kare itni baddua le jaoge, Agle janam me bhi apne karmo ko rote nazar aaoge.
Har khoobsurat sham machal ke bhi khali hath reh jati hai, 
Jab teri tasvir dekhu aankho me teri jhalak reh jati hai,
Kaun jane tu mera hai bhi ya nahi, ek pal ho ya ek zindagi
mujhe apne aagosh me liye teri yado ki mehak reh jati hai
Kabhi kabhi alfaaz aankho se namkeen pani ban k beh jaate hai, 
Jo sun sakte hai inhe vo paas nahi hote, bas yu hi ansune reh jate hai.